kahen kya ki kya kya sitam dekhte hain likha hai jo qismat mein hum dekhte hain kabhi aah nara kabhi khinchte hain hum is saz ka zer-o-bam dekhte hain khat-e-sar-nawisht apna hum padh rahe hain tumhaara jo naqsh-e-qadam dekhte hain mere ru-ba-ru wo baham ghair se hain na dekhe koi jo ki hum dekhte hain rahi gar talash-e-kamar yun hi hum ko koi dam mein mulk-e-adam dekhte hain hazaron guman dil mein hote hain paida tere hath mein jab qalam dekhte hain nahin jaana kis din tu ghairon ke ghar par sarihan to aankhon se hum dekhte hain nahin aarzu kuchh bhi bose ki hum ko magar hum tumhaara karam dekhte hain jo aalam ki dekha hai ku-e-butan mein khuda ki khudai mein kam dekhte hain nazar aate ho 'sehr' aashiq kisi par tumhein har ghadi chashm-e-nam dekhte hain