gham raha baqi na gham ka imtihan baqi raha mere gham se ishq ka nam-o-nishan baqi raha fasl-e-gul ka is se badh kar aur kya hoga suluk bijliyon ki chhawni mein aashiyan baqi raha jab kisi surat wo mera dard-e-dil sunte nahin phir kahan lutf-e-zaban lutf-e-bayan baqi raha aakhiri dam tak mohabbat mein hazaron gham sahe mujh pe lutf-e-zist ka phir bhi guman baqi raha tinka tinka gulsitan ka ho gaya sarf-e-khizan bijliyon ki nazr ko ek aashiyan baqi raha phul bante hi kali ka raaz-e-hasti khul gaya chaar din bhi husn ka parda kahan baqi raha rafta rafta uth gae sare hijabaat-e-nazar parda-e-naz un ke mere darmiyan baqi raha kitni dard-angez hai ai dost tarikh-e-bahaar lut gaya sara chaman ek aashiyan baqi raha dard-o-gham ki chandni mein rahm-dil hansne lage ashk-bari mein jo aalam tha kahan baqi raha rahnuma hain wo na wo jada na wo raftar hai karwan kaisa fareb-e-karwan baqi raha baat ye 'sajid' zamane bhar mein hai mani hui mere hi sajdon se un ka aastan baqi raha