fasla yun to bas makan bhar tha lekin apna safar jahan bhar tha dhup dil mein faqat guman bhar thi abr aankhon mein aasman bhar tha aankh bhar ishq aur badan bhar chah shukr lab bhar gila zaban bhar tha kya mila juz sukut-e-be-payan shor sine mein karwan bhar tha muzhda-e-wasl tha bas ek fiqara khauf-e-ada to dastan bhar tha