fasle hain sadiyon ke aur zindagi tanha dard-e-sar do-alam ka ek aadmi tanha shoala-e-hawadis ne hausla diya warna bujh ke rah gai hoti sham-e-zindagi tanha zindagi mein aamezish un ki rang bharti hai dosti hi kaam aae aur na dushmani tanha puchhta hai kab koi haal in charaghon ka raushni dikhate hain jo gali gali tanha thi nafas nafas khushbu tha nazar nazar chehra din guzar gaya tanha raat kat gai tanha teri parsai ka rah gaya bharam waiz jurm hai magar nadan shaghl-e-mai-kashi tanha guzre aise lamhe bhi mujh pe barha 'athar' main ne khud ko paya hai anjuman mein bhi tanha