jab tak junun junun hai gham-e-agahi bhi hai yani asir-e-naghma meri be-khudi bhi hai khilte hain phul jin ke tabassum ke waste shabnam mein un ke aks ki aazurdagi bhi hai kuchh saaton ka rang mere sath sath hai wo nikhat-e-bahaar magar ajnabi bhi hai zinda hun main ki aag jahannam ki ban sakun firdaus-e-arzu mere dil ki kali bhi hai is yaad ka bhanwar mere ehsas mein raha izhaar-e-mauj mauj ki na-guftani bhi hai palkon pe chandni ke takallum ki aanch thi honton pe guftugu ke liye tishnagi bhi hai kyun tirgi se is qadar manus hun 'zafar' ek sham-e-rah-guzar ki sahar tak jali bhi hai