idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae jidhar jidhar uthi teri nazar charagh jal gae ye aur baat raat bhar ka tai na kar sake safar magar ye kam nahin ki waqt par charagh jal gae hawa ka aisa zor tha ki ek bala ka shor tha isi faza mein jo the ba-hunar charagh jal gae hai baat yun to raat ki magar na ehtiyat ki to kya karoge dafatan agar charagh jal gae jo sath subh se chale wo sare log din dhale usi taraf ko ho liye jidhar charagh jal gae wo tirgi ka jal tha ki ab safar muhaal tha hua ye tere nam ka asar charagh jal gae