ghul jae jis mein rang wo pani nahin hun main apni ana ka dushman-e-jaani nahin hun main diwaren rok paen wo pani nahin hun main phir jae jis ka rukh wo rawani nahin hun main dhaali gai niyat meri sirat ki aanch se surat pe mar-mite wo jawani nahin hun main haalat-e-hazira ki tapish ki dalil hun mazi ki bhuli-bisri kahani nahin hun main zinda rahunga un ke taaruf ki shakl mein sirf apne buzurgon ki nishani nahin hun main takmil-e-khwahishat ka aasar hun miyan parkho mujhe nishan-e-girani nahin hun main zinda rakhega mujh ko 'saadat' mera kalam kah dijiyega maut se fani nahin hun main