naghma-e-kun se numudar ajab hosh hua dahr mein jis ko sanbhaala wahi behosh hua khalwat-e-naz mein yun koi ham-aghosh hua ilm dar sina mere dil se faramosh hua jaur-e-paiham ne kabhi dil se nikalne na diya dard badhta hi raha jab wo sitam-kosh hua ishq mein chahiye har-lahza nirali gardish kyon wahan katib-e-taqdir subuk-dosh hua yaad aae unhen kuchh tark-e-jafa ke pahlu haif-sad-haif ki main dil se faramosh hua rang ya shakl na tha kya nazar aata wo hamein dida-e-dil ki jagah zehn mein ru-posh hua har jagah tur hai be-khud hai jahan misl-e-kalim jalwa-e-nau se wo hangama faramosh hua hashr ke baad rahi hasrat-e-nazzara mujhe is tarah majma-e-khuban mein wo ru-posh hua kya ho padash-e-amal mast-e-azal hai 'nazish' ya khuda tu ne pilai to ye mai-nosh hua