faza-e-dil mein ghani tirgi si lagti hai kahin kahin pe zara raushni si lagti hai bada ajib mohabbat ka daur hota hai kahin pe maut kahin zindagi si lagti hai chamakne lagti hai har chiz mere kamre ki tumhaari yaad koi phuljhadi si lagti hai main sochta hun kahun kaise bewafa us ko mujhe to apne hi andar kami si lagti hai tumhaari yaad ko jab bhi gale lagata hun mere badan mein koi sansani si lagti hai koi bahut bada tufan aane wala hai jahan bhi dekho hawa chup khadi si lagti hai tumhaari soch mein main rang apne bhar na saka ye sochta hun to sharmindagi si lagti hai