ishq ab tak hai purani ek teri taswir se roz karti hun shikayat katib-e-taqdir se main namazi main hi pandit rab khuda sab ek hai ghont do gardan bhale tum mazhabi zanjir se de na pae log jite ji agar izzat mujhe kar rahe hain kyon janaze ko widaa tauqir se ahmiyat ab hai kahan insan mein jazbaat ki tolte hain aaj kal har chiz ko jagir se ye 'tabassum' hi hai mera aslaha sab se bada jitna mumkin nahin har jang bas shamshir se