gardish-e-jam bhi hai raqs bhi hai saz bhi hai jis mein naghmon ka talatum hai wo aawaz bhi hai itna sada bhi use ai dil-e-pur-shauq na jaan iltifat ek nigah-e-ghalat-andaz bhi hai muddaa un ka samajh mein nahin aata ai dil be-sabab hai ye taghaful ki koi raaz bhi hai gharq-e-kaifiyat-e-ahang-e-tarab sun to sahi zindagi dard mein dubi hui aawaz bhi hai tod dalenge qafas aaj asiran-e-qafas azm-e-parwaz bhi hai quwwat-e-parwaz bhi hai meri aankhon se dhalakte hue har ashk mein aaj aks-e-anjam bhi hai surat-e-aghaz bhi hai kaun jaane ye mere dil ke siwa ai 'muztar' us ki ek jumbish-e-lab silsila-e-raaz bhi hai