zindagi mein jo ye rawani hai ek kirdar ki kahani hai main ne us se kaha ye aansu hain us ne mujh se kaha ye pani hai taza taza hai tera gham 'imrran' ye kahani badi purani hai ek to sar-phiri hawa ki chaal aur kashti bhi baadbani hai zakhm jis waqt ki amanat tha dard us daur ki nishani hai sher jis ko samajh rahe hain janab ye haqiqat mein be-zabani hai phir wahi hai sawal-e-kaun-o-makan phir wahi meri be-makani hai ai khuda ye wajud ka jhagda khak ka hai ki aasmani hai