faza ka zarra zarra ishq ki taswir tha kal shab jahan main tha main khud apni nazar mein sahib-e-tauqir tha kal shab jahan main tha jise dekha wo diwana tha naqsh-e-dilnashin ke husn-e-adil ka jise socha fana ke rang ki tafsir tha kal shab jahan main tha mera dil mere jis pahlu mein raqsan tha usi pahlu mein jannat thi ye manzar chashm-e-wa ke khwab ki tabir tha kal shab jahan main tha wo kya lau thi ki jis ki ek kiran mein surajon ki wusaten gum thin mera sara jahan tanwir hi tanwir tha kal shab jahan main tha imarat jism ki mismar hoti ja rahi har nafas lekin dil-e-viran ko zoam-e-rifat-e-tamir tha kal shab jahan main tha hawa ne ehtiram-e-mahfil-e-qudsi mein apnai rawish gul ki fida is khamushi par jauhar-e-taqrir tha kal shab jahan main tha