mere sajda-e-ha-e-niyaz ko tere aastan ki talash hai kisi fard ki ye talab nahin ye to ek jahan ki talash hai nai sarzamin ki hai justuju nae aasman ki talash hai jo makan bhi thik na rakh sake unhen la-makan ki talash hai mere pa-e-shauq-e-safar mein hain abhi rah-o-rasm ki bandishen mujhe naqsh-e-pa ki hai justuju mujhe karwan ki talash hai jo khizan-nasib azal ke hain unhen fasl-e-gul ki hai aarzu wo jo thak chuke hain bahaar se unhen ab khizan ki talash hai ye mera kamal-e-musawwari ye mera shuur-e-sanam-gari abhi zauq husn-e-kasif hai ise jism-o-jaan ki talash hai meri zindagi ka fasana kya jo sinaon shauq se aap ko kisi mehrban ki talash thi kisi mehrban ki talash hai jo qafas se chhut ke aae hum kisi shakh ne bhi jagah na di hain chaman mein aa ke bhi be-nawa hamein aashiyan ki talash hai abhi qarz un ki nazar pe hai tere jalwa-ha-e-majaz ka jo haqiqaton se guzar chuke unhen dastan ki talash hai tere dushmanon ki safon pe ye kisi daur mein na chamak saki teri tegh-e-naz ki aaj tak sar-e-dostan ki talash hai khas-o-khar ko bhi jo diye 'raza' tar-o-taza rahne ka hausla usi baghban ki hai aarzu usi gulistan ki talash hai