main apne taur pe khela tha aabginon se mila hun yaron ko taht-us-sura ke zinon se main aise shakhs ki taqlid karna chahta hun jo sans leta raha doston ke sinon se guman guzarta hai duniya ki tez-gami se ki log khwab bhi dekhenge dur-binon se ye tajraba hai mera sarsari si baat nahin koi bhi nukta milega na nukta-chinon se hamari aankhon se aansu gire nadamat ke hai din phut pada kufr ki zaminon se salami ka hai ye andaz jaanta hun magar bahut se hath hain tanke gae jabinon se mizaj-e-waqt moharram safar pe baat karen sadi ka karb to mansub hai mahinon se ye aalamin ki tartib hi ulat jae nikala jae madina agar madinon se main us dayar ki mitti ko nur jaanta hun jahan pe barchhiyan todi gai thi sinon se ye sham jhil shafaq mo'atabar hain apni jagah mera mizaj zara mukhtalif hai tinon se sharafaton mein wo yusuf-mizaj hote hain tumhein milaunga ghurbat-zada hasinon se main sidhi baat ka aadi hun sanp kyun bolun main apne yar nikalunga aastinon se