hans len ye sitare bhi abhi raat ke upar din chadhte hi aa jaenge auqat ke upar ban jae na virani-e-dil apni tamasha hum khol chadha lete hain ek zat ke upar pahle to samajhte rahe har shai ko tamasha ab roke bhi kya kijiye haalat ke upar dekha hai uchhalti hui dastaron ka manzar ek fitna-e-dauran se mulaqat ke upar waiz kabhi maidan-e-amal mein bhi qadam rakh is silsila-e-kashf-o-karamat ke upar ibrat to koi lene ko tayyar nahin hai han jashn manate hain mazaraat ke upar 'azhar' na thi is baat mein kuchh bhi to haqiqat ek hashr sa barpa hua jis baat ke upar