faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae ajib sham ye guzri hai kya kaha jae kai guman hamein zindagi pe guzre hain ye ajnabi hai ki apni hai kya kaha jae wo dhup dushman-e-jaan thi so thi khamosh the hum ye chandni hamein dasti hai kya kaha jae yahan bhi dil pe udasi ka chha raha hai dhuan ye rang o nur ki basti hai kya kaha jae koi payam hamare liye nahin na sahi magar sada to usi ki hai kya kaha jae hamare ahd ke uljhe hue sawalon ka jawab sirf khamoshi hai kya kaha jae zaban pe shukr o shikayat ke sau fasane hain magar jo dil pe guzarti hai kya kaha jae tamam shahr ko kyun chup lagi hai kya jaanen ghutan dilon mein ye kaisi hai kya kaha jae shanakht dost na dushman ki mo'tabar 'makhmur' har ek shakl hi dhundli hai kya kaha jae