na koi uljhan na dil pareshan na koi dard-e-nihan tha pahle hamare hathon mein titliyan thin ye dil bahut shadman tha pahle har ek titli pe bar-e-gham hai aur andalibon ki aankh nam hai jahan pe ab khak ud rahi hai yahin kahin gulistan tha pahle na bughz dil mein rahe na nafrat bas ek duje se ho mohabbat hum aao tamir phir se kar len wahi jo hindostan tha pahle wo meri chahat ki raushni se nikal ke zulmat mein ji raha tha yaqin mujh ko nahin tha lekin wo mujh se kuchh bad-guman tha pahle hamari holi hai eid hai wo har ek khushi ki umid hai wo wo pas aae to us se puchhen tu itne din se kahan tha pahle tumhaari duniya mein aaenge hum tumhein gale se lagaenge hum janab hum ko mile jo fursat daraaz-e-kar-e-jahan se pahle hai wahshaton ka ye daur kaisa kyon dahshaten sar utha rahi hain kahan se le aaen dhund kar hum wahi jo amn-o-aman tha pahle