faza mein naghma-e-awaz-e-pa hai mere liye karan se ta-ba-karan ek nida hai mere liye main apni zat mein lauta to phir mila na mujhe wo ek shakhs jo rota raha hai mere liye sabab hai ranj ka kuchh khu-e-iztirab meri kuchh apne aap se bhi wo khafa hai mere liye falak tamam hai aaghosh-e-bab-e-mahrumi shajar shajar yahan dast-e-dua hai mere liye kisi firaq ki tamhid ban ke rah jaana tere visal ki taskin bhi kya hai mere liye