jaan rahe ya na rahe nam rahe sathiyo rasm-e-junun aam rahe barha sai-e-talab ki hum ne ye alag baat ki nakaam rahe azmat-e-ishq se na-waqif the jo asir-e-hawas-e-kham rahe kya tajjub hai ki piran-e-haram mar ke bhi talib-e-asnam rahe kya khabar hai ki yun hi ai 'akhtar' ta-ba-kai gardish-e-ayyam rahe