har pal tera khayal surud-e-khayal hai so chashm-e-tar bhi aaina-e-aks-e-yar hai us hila-ju ki yaad bhi ab raftani hui ek hijr rah gaya hai so wo be-shumar hai be-khwab ratjage kabhi ashkon ke hain charagh hai raftagan ka sog dil-e-be-qarar hai tark-e-talluqat ko go muddaten huin ab bhi dil-e-tabah magar sogwar hai haft-asman bhi lakh tera parda-dar ho har zarra kaenat ka timsal-dar hai mauj-e-tilism-e-shauq fareb-e-guman sahi kya kijiye ki dil ko tera e'tibar hai kab rakh saki asir-e-zaman-o-makan ki qaid 'anjum' nigar-e-zist to musht-e-ghubar hai