gham-e-duniya nahin phir kaun sa gham hai hum ko fikr-o-andesha-e-uqba se bhi ram hai hum ko dahn-e-ghuncha se paigham-e-wafa sunte hain ghaza-e-ariz-e-sad-hast-e-adam hai hum ko qaul ye sach hai ki khud-karda ka darman kya hai dawar-e-hashr pe nahaq ka bharam hai hum ko agle luqmon mein nahin qand-e-mukarrar ka maza sakht be-lutf-e-hayat-e-paiham hai hum ko zist ki kashmakash aur marg ki qurbat ka alam aamad-o-raft-e-nafas tegh-e-do-dam hai hum ko baithe baithe jo kate phir tag-o-dau se hasil har-nafas jada-e-hasti mein qadam hai hum ko zarre zarre mein nazar aati hai taswir-e-sanam sar-ba-sar ru-kash-e-sad-dair-o-haram hai hum ko bar-e-gham bar se ehsan ke badal jata hai tauq-e-gardan kashish-e-kaf-e-karam hai hum ko haal-e-dil likhte na logon ki zaban mein padte wajh-e-angusht-numai ye qalam hai hum ko aankh kya daliye us gul pe jo kumhla jae 'kaifi' apna hi ye dil bagh-e-iram hai hum ko