ishq se jis ka dil gudaz nahin dar-e-irfan bhi us pe baz nahin dar-e-jaanan pe hai qiyam-o-quud apni koi qaza namaz nahin wasl us ka na kyunke ho dushwar jis ke didar ke majaz nahin shauq mein puchhta hun rah-e-haram gabr-o-momin ka eatibar nahin teri aali janab mein mahmud mujhe kya rutba-e-ayaz nahin nahin hone ka kaamil-ul-iman jis ko ishq-e-shah-e-hijaz nahin sath hai baad-e-marg hasrat-e-did be-sabab chashm apni baz nahin qalb us ka hai misl-e-dud-e-siyah shama san jis ka dil gudaz nahin kyunki din umr ke katen ba-khushi mizha-e-did dil-nawaz nahin band hai bab-e-mai-kada jo 'fida' kya dar-e-tauba tujh pe baz nahin