haalat par nigah ruton par nazar na thi jab tak rahe chaman mein chaman ki khabar na thi khud apne ghar ko aag dikhai thi aap ne is mein to koi sazish-e-barq-o-sharar na thi rudad-e-tira-bakhti-e-ahbab kya kahen un ke liye sahar bhi tulu-e-sahar na thi fasl-e-bahaar mein tar-o-taza nahin hawa shayad shajar ko khwahish-e-barg-o-samar na thi tuti hui umid shikasta the hausle dil ki tabahiyon pe magar aankh tar na thi dasht-e-talab mein itne andhere the kargar rakhshanda ek kiran bhi sar-e-rahguzar na thi phir kyun suna diya tha adalat ne faisla 'shahid' meri gawahi agar mo'atabar na thi