har chand amradon mein hai ek rah ka maza ghair-az-nisa wale na mila chah ka maza khatre se us ke kar nahin sakta main aah bhi leta hun ji hi ji mein sada aah ka maza apni to umr roz-e-siyah mein guzar gai dekha kabhi na hum ne shab-e-mah ka maza billah kah ke us ne qasam khai thi kahin wallah bhulta nahin billah ka maza bose ke jo sawal pe us ne kaha tha wah ab tak phire hai dil mein wahi wah ka maza lazzat ko us ke samjhen hain kya sahib-e-wara koi puchhe ahl-e-fisq se to bah ka maza kya wo bhi din the khub ki luten the 'mushafi' hum bhi nazara-e-gah-o-be-gah ka maza