gudaz-e-dil se baatin ka tajalli-zar ho jaana mohabbat asl mein hai ruh ka bedar ho jaana nawed-e-aish se ai dil zara hushyar ho jaana kisi taza musibat ke liye tayyar ho jaana wo un ke dil mein shauq-e-khud-numai ka khayal aana wo har shai ka tabassum ke liye tayyar ho jaana mizaj-e-husn ko ab bhi na samjho to qayamat hai hamara aur wafa ke nam se be-zar ho jaana sahar ka is tarah angdai lena dil-farebi se udhar shair ke mahsusat ka bedar ho jaana tawassul se tere dil mein bharunga quwwaten barqi zara meri taraf bhi ai nigah-e-yar ho jaana wo aaraish mein sab quwwat kisi ka sarf kar dena tahammul mein wo har koshish meri bekar ho jaana maaz-allah ab ye rang hai duniya ki mahfil ka khuda ka nam lena aur zalil o khwar ho jaana ragon se khun sara zahr ban kar phut niklega zara ai 'josh' zabt-e-shauq se hushyar ho jaana