hamare samne jo muskura ke chalte hain firaq-e-yar mein wo karwaten badalte hain wo jin ke aatish-e-ulfat se dil pighalte hain so un ki aankhon se aansu baja nikalte hain tumhein khuda ne banaya hai sang-e-marmar se tumhaare jism pe shams-o-qamar phisalte hain wo aur hain jo bahakte hain jam pi pi kar hum ahl-e-zarf ke pi kar qadam sanbhalte hain hamari tishna-labi ka imam saqi hai hamare jaise sabhi mai-kadon mein palte hain nasib hoti hai ashaar mein farawani zamin-e-fikr pe jab ediyan masalte hain tumhaare ashk bhi nazuk-mizaj hain jaanan nikal ke aankh se rukhsar par machalte hain tu goya ho to zamin aasman raqs kare tu chup rahe to zamanon ke dil dahalte hain wo ho gaya hai takabbur ki bediyon mein asir use khabar hi nahin aaftab dhalte hain tumhaare jaane se kaliyon ka dam nikalta hai tumhaare aane se gulshan mein phul khilte hain mere uruj ka mehwar hai sadgi meri wo is liye to meri sadgi se jalte hain