maut ka gham nahin khushiyon ke nazare hote meri turbat pe agar phul tumhaare hote mere mahbub ke qadmon ki pazirai ko ek dariya ke kai aur kinare hote gar nikalti mere arman ki koi ganga phir to sahraon ke kya khub nazare hote bach nikalta bhala kaise ye safina tera jo mukhalif tere tufan ke dhaare hote waqt le aaya ajab mod pe mujh ko warna aasman par meri qismat ke sitare hote