jo aaine se teri jalwa-samani nahin jati kisi bhi dekhne wale ki hairani nahin jati kabhi ek bar haule se pukara tha mujhe tum ne kisi ki mujh se ab aawaz pahchani nahin jati bhari mahfil mein mujh se pher li thin be-sabab nazren wo din aur aaj tak un ki pashemani nahin jati pise jate hain dil har-gam pe shor-e-qayamat se khiram-e-naz teri fitna-samani nahin jati gawara hi na thi jin ko judai meri dam-bhar ki unhin se aaj meri shakl pahchani nahin jati wo mere hath ka shokhi se jaana un ke daman tak wo un ka naz se kahna ki nadani nahin jati gareban ahl-e-wahshat ke siya karta tha hosh ek din aur ab mujh se hi meri chaak-damani nahin jati