fitna-pardazi adu ka nam hai nam 'rahbar' ka yunhi badnam hai ranj-o-gham mein bhi hamein bakhsha sukun zindagi bar-dosh mai ka jam hai pine walon ko saliqa hi nahin mai-kada to muft mein badnam hai teri aamad aamad-e-subh-e-bahaar tera jaana zindagi ki sham hai tujh se mil kar ab khula hum par ye raaz hijr mein tere bahut aaram hai maut aankhen khol degi ek din tishna-e-hasti barae nam hai jal rahe hain muft mein ahl-e-hasad hum ko to mashq-e-sukhan se kaam hai pursish-e-bimar-e-gham ab hai abas zindagi ka maut hi anjam hai is ghazal ki dad ye 'rahbar' mili aaj har lab par tumhaara nam hai