jab se saqi ne diya hai jam mere hath mein

jab se saqi ne diya hai jam mere hath mein
hai nizam-e-gardish-e-ayyam mere hath mein

kya nahin hai ai dil-e-nakaam mere hath mein
ranj mere hath mein aalam mere hath mein

kaun jaane kis ke rangin khwab ka ho ye mahal
aa gaya ek nama-e-gumnam mere hath mein

jab hai mujh ko saqi-e-gulfam ki sohbat nasib
kyon na ho phir rahat-o-alam mere hath mein

zindagi mein jab bhi main ne mai-kade ka rukh kiya
aa gaya lahra ke aksar jam mere hath mein

un ke hisse mein masarrat ki bahaaren aa gain
aa gaya sarmaya-e-alam mere hath mein

mere qadmon mein hain ab donon jahan ki neamaten
aa gaya hai jab se 'rahbar' jam mere hath mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close