us ko jine ka hunar aata nahin jis ke chehre pe koi chehra nahin aadmi kaisa hai wo kaise kahun justuju ki aankh se dekha nahin daur-e-nau ne jaise kante bo diye phul lahja ab kahin milta nahin har nazare mein chhupa baitha hai wo gar tajassus ho to phir parda nahin chhin li hain waqt ne yaaden sabhi yaad ab koi mujhe aata nahin ab ke mausam ne ye di kaisi saza ped koi bhi samar wala nahin gham nahin is ke siwa 'rahat' koi aaj tak us ne mujhe samjha nahin