gham ke baadal phir bhi chhae rah gae aankh se dariya ke dariya bah gae khauf-e-uqba aur is duniya ke baad wo bhi sah lenge jo ye gham sah gae kis ne dekha hai jamal-e-ru-e-dost sab naqabon mein ulajh kar rah gae mukhtasar thi dastan-e-arz-e-shauq bujh ke kuchh tare mizha par rah gae zist hai ek sham afsane ka nam apni apni dastan sab kah gae tab kahin ja kar mili sath-e-sukun dub kar jab gham mein tah-dar-tah gae war kar ke zist bhagi aur hum aastin apni chadhate rah gae chand shaitan band kar ke khush hain yun jaise bahar sab farishte rah gae ashk ban pae na gham ke tarjuman ye numaish hi mein apni rah gae zindagi se lad na paya josh-e-dil par bahut tole magar rah rah gae ashk the jab tak farozan gham na tha ab andhere mein akele rah gae jeben sab yaron ne bhar lin bazm mein ek 'mulla' the jo yunhi rah gae