un ke adna ghulam ho kar bhi hum rahe khas aam ho kar bhi bewafai na ki samundar se mauj ne be-lagam ho kar bhi dil ki duniya na kar sake raushan aap mah-e-tamam ho kar bhi kaise rawan ka kaam kar baithe nam ke aap ram ho kar bhi hum nahin tere pyar ke laeq qabil-e-ehtiram ho kar bhi pyar karne ki bhul kar baitha shakhs wo nek nam ho kar bhi pyasi pyasi hi rah gai 'baadal' zindagi nazr-e-jam ho kar bhi