hai ab ki fasl mein rang bahaar aur hi kuchh hua hai naqsha-e-shahr-o-dayar aur hi kuchh na shahsawar na ghazni na karwan koi ufuq ke par utha tha ghubar aur hi kuchh shagufe aaj bhi khulte hain kal bhi khulte the hai is chaman ki khizan aur bahaar aur hi kuchh hamare waste hamdam qarar-e-dil mat dhundh ki pa gaya hai dilon mein qarar aur hi kuchh na shakh ka na samar ka na aashiyan ka malal ki main ne tujh pe kiya tha nisar aur hi kuchh suna hai tangi-e-kunj-e-lahad ka bhi ahwal hai aaj arz-o-sama ka fishaar aur hi kuchh nawa-e-dil mein wo aahang dil-kusha na raha sukhan ne rang kiya ikhtiyar aur hi kuchh