fitrat-e-husn mein agar ahliyat-e-wafa nahin mujh ko khuda se hai gila aap se kuchh gila nahin nind mein hai abhi kali phul abhi khila nahin barbat-e-ishq par magar naghma-e-dil chhida nahin ishq ki ibtida to hai ishq ki intiha nahin ishq hai wo baqa sarisht jis ko kabhi fana nahin meri shab-e-firaq ki puchh na kuchh musibaten jina to be-maza hi tha marne mein bhi maza nahin mahfilen jo ujad gain saj bhi gain hazar bar mera jahan-e-arzu ujda to phir basa nahin roz wafaen bhi karun roz jafaen bhi sahun banda-e-husn hun magar husn mera khuda nahin rah-e-talab ki mushkilen aur ye meri khud-rawi chaaron taraf hun main hi main koi bhi dusra nahin khud ko mita khudi ko chhod qaid-e-tainat tod ek hai asl husn-o-ishq koi juda juda nahin ishq mein chahe jaan jae shikwa magar na lab pe aae hazrat-e-dil ye hae hae ishq ka qaeda nahin dil ho khayal-e-yar mein aankh ho intizar mein mere dil-e-figar mein hasrat-e-ma-siwa nahin rah-e-wafa ki thokaren aur mera tan-e-figar ab bhi ye imtihan-e-ishq ho gaya khatm ya nahin mangta hun nigah se teri gudaz-e-soz-e-barq mujh ko ba-qadr-e-zarf-e-dil lutf-e-khalish mila nahin warta-e-zindagi mein 'mauj' kyon hain ye na-umidiyan mera khuda to sath hai kya hai jo nakhuda nahin