jamal-e-husn-e-darakhshan harim-e-jaan mein nahin wo sajde dhundh raha hun jo aastan mein nahin koi nizam-e-asar-afrin fughan mein nahin charagh-e-rah ka saya bhi karwan mein nahin agar wo sina-e-pur-dagh-e-ashiqan mein nahin to phir kahan hain wo tare jo aasman mein nahin tapak rahi hai har ek tinke se shua-e-jamal asir koi tajalli to aashiyan mein nahin fana ho ya ho baqa hain ye sab fareb-e-nazar wo kya bahaar mein hai jo meri khizan mein nahin shahid-e-tir-e-mohabbat nahin hai dil shayad wo surkhiyan mere mizhgan-e-khun-fishan mein nahin jo waqt mujh pe mohabbat mein aa pada hai na puchh sharik-e-dil bhi mera mere imtihan mein nahin falak pe chhain hain kafir ghataen sawan ki magar baghair tere lutf gulsitan mein nahin hun aaj fikr ka ek bahr-e-be-karan ai 'mauj' wo 'mauj' hi nahin betab jo jahan mein nahin