ghaur-o-fikr kam karna zindagi ke bare mein ek yahi ishaara tha mere istikhare mein aap ki tawajjoh ka ehtiram hai lekin kuchh kashish bhi hoti hai tutte sitare mein kis ko itni fursat hai koi dusra dhunde us ka nam likh dun kya us ke isti'are mein sar uthati lahron mein sarkashi na ho jab tak kaifiyat nahin aati dubte kinare mein ab bhi dil dhadakta hai maut ke tasawwur se ab bhi jaan baqi hai zindagi ke mare mein main tumhaara jo bhi hun aur tum mere jo bhi kho na jae jo bhi hai is mere tumhaare mein chhod de 'amit' ab ye chhaon-waon mein rahna tu bhi kuchh izafa kar dhup ke khasare mein