fitratan rabt hai dil ko gham-o-alam ke sath

fitratan rabt hai dil ko gham-o-alam ke sath
khelte rahte hain hum gardish-e-ayyam ke sath

roz sayyaad ka khatra hai nae dam ke sath
kya nasheman mein rahega koi aaram ke sath

hum agar khak-basar hain to koi baat nahin
raqs karti rahe duniya sahar-o-sham ke sath

ai parastar nai subh ke itna to bata
kyon siyah-posh ujale hain dar-o-baam ke sath

aarzuon ki jawan maut ka matam hai fuzul
ye janaze kabhi uthte nahin kohram ke sath

tha ajab hosh-ruba kaif-e-mai-e-azadi
zahr bhi pi gae hum baada-e-gulfam ke sath

dosti hum nahin rakhte ye baja hai lekin
dushmani bhi to nahin banda-e-asnam ke sath

ye mila apni wafaon ka hamein talkh jawab
ki sitam aur bhi dhae gae ilzam ke sath

kuchh bhi kahte rahen ahl-e-haram-o-dair mujhe
aap ka nam to shamil hai mere nam ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close