gum hai faza chaman ki nazaron ko kya hua gul hain udas udas bahaaron ko kya hua kyon un ki raushni hai shab-e-gham se dur dur ai aasman tere sitaron ko kya hua dekhe to koi un ka taghaful ki baad-e-marg wo puchhte hain dard ke maron ko kya hua qarun-e-waqt hai meri haalat pe tana-zan parwardigar tere sahaaron ko kya hua bar-e-garan hue hain takallum ke phul bhi rahon mein chalte-phirte mazaron ko kya hua mahfuz ahl-e-zulm ka qasr-e-hayat hai ai dil ki aah tere shararon ko kya hua wo to hawa-e-waqt ke jhonke the ai 'khaliq' kyon aaj sochte ho ki yaron ko kya hua