fughan-e-ruh koi kis tarah sunae use ki zakhm zakhm badan to nazar na aae use na dekhne ki saza-war jis ko aankh hui koi piyasa bhala hath kya lagae use surur lazzat-e-hasil ka kuchh siwa hoga chalan ata ka agar khusrawana aae use mere lahu mein utar aaenge nae mausam chuni hai dil mein jo diwar si wo dhae use khula na us pe kabhi meri aankh ka manzar jami hai aankh mein kai koi dikhae use wo raushni ka hawala wo rang-o-bu ka safir mari jamal-pasandi kahin se lae use farogh-e-husn shaguft-e-gul o ram-e-shabnam fareb kaise ye 'shahid' koi sujhae use