naseha faeda kya hai tujhe bahkane se kar-e-hushyar kahin bhi hua diwane se na gharaz kabe se matlab hai na but-khane se hai faqat zauq mujhe yar ke ghar jaane se wo utha kya ki abr-e-karam pahlu se chashm se chashm bahe shokh ke uth jaane se sozish-e-dil na yaqin ho to jigar chir ke dekh aable lakhon pade tere hi gham khane se