hum yunhi bikhre nahin har-su khas-o-khashak mein hain numu-bar-dosh rang-o-bu khas-o-khashak main us ke hone ka guman rahta hai mere aas-pas har taraf rach-bas gai khushbu khas-o-khashak main ho samar-awar hamari aabla-pai kahin chain aa jae kasi pahlu khas-o-khashak main chahiye hoti hai kisht-e-zar ko jab bhi kuchh numu main baha deta hun kuchh aansu khas-o-khashak mein jaanti hai wo basirat tak ko uljhane ka fan jau kashish hai surat-e-jadu khas-o-khashak main jab udhar uthte hain tale-azmaun ke qadam bujhne lagte hain idhar jugnu khas-o-khashak main ye to ai 'jawed' guzre mausamon ki rakh hai aakhirash kya dhundhta hai tu khas-o-khashak main