hamare ghar ki fazaon mein yas kafi hai charagh jalte rahen aas-pas kafi hai nigah milate hue dar rahe hain logon se ki har nigah mein khauf-o-hiras kafi hai wahin pe hai wo jahan rasm-o-rah khatm hui to ye kaho ki abhi tak udas kafi hai main dekhta hi raha rang us ke chehre ka main jaanta tha ki wo gham-shanas kafi hai khulus kahte hain jis ko wo apne pas kahan yahi suna hai ki auron ke pas kafi hai khabar kisi ko nahin kaun kis tarah duba magar hujum to dariya ke pas kafi hai nazakat-e-dil-e-'iqbaal' kaun samjhega ye chand log rahen apne pas kafi hai