hasin-e-pir ki mahfil mein diwane nahin aate jo shamen bujh chuki hain un pe parwane nahin aate sar-e-mahfil kabhi chappal wo lahrane nahin aate raqibon ke saron par phul barsane nahin aate bulandi ishq-e-kaamil aur pasti hai hawasnaki jahan andhe pahunchte hain wahan kane nahin aate tumhaari harkaton ka shaikh ji duniya mein charcha hai haqiqat jaante hain hum ko afsane nahin aate ilahi maskan-e-bum-e-khush-ilhan ab kahan hoga nazar duniya ke naqsha mein bhi virane nahin aate muhase aur chechak ki sajawat hai wo chehre par ki wo ab muft bhi taswir khinchwane nahin aate wo haziq doctor bhi hain ba-yak-chashmi ke bais se mariz us ko kabhi bhule se dikhlane nahin aate