fursat ho to sun lije bita hua afsana kyun hosh ganwa baitha ye aap ka diwana tum hi to tamanna ho har shaikh-o-barhaman ki sajda tumhein karte hain kaba ho ki but-khana tufan mohabbat ka khamosh tha muddat se kyun aaj chhalak uththa ye sabr ka paimana hum aatish-e-ulfat mein is taur se jalte hain khud shama hain mahfil mein aur aap hi parwana jab mast nigahon se saqi ne zara dekha madhosh nazar aaya maikhane ka mai-khana is dil ki kharabi se aajiz hain magar phir bhi rakhte hain aziz apna tuta hua paimana ho ahd-e-wafa un ka ya wada-e-farda ho aata hai 'shamim' hum ko baaton mein bahal jaana