hangamon ke qaht se khiDki darwaze mabhut

hangamon ke qaht se khidki darwaze mabhut
aangan aangan nach rahe hain sannaton ke bhut

bojhal aankhen pathrile lab ujde hue rukhsar
sab ke kandhon par rakkhe hain chehron ke tabut

alag alag khud hi kar legi lamhon ki mizan
kis ko fursat kaun gine ab bure-bhale kartut

chamak rahe hain mayusi ke tez nukile dant
dil ke chaurahe par zakhmi ummiden mabhut

haal se ab samjhauta kar ke taza-dam ho lo
mustaqbil tak dho na sakoge mazi ka tabut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close