zor se chiKHte pukarte hain

zor se chikhte pukarte hain
kuchh nae se zaban pe aable hain

dekh sakte nahin zara sa hum
to chalo aao khwab lutte hain

dal rakkhe hain kab se kise mein
sirf apnon mein ranj bantne hain

apne har mod par na jaane kyon
raushni ke siyah qumqume hain

sath do pal guzar ke phir se
yaad ek gum-shuda si dhundte hain

ghar ho ke bhi safar adhura hai
qadr ke bhi ajib faisle hain

ek saf mein khade hue hum sab
apne apne buton ko pujte hain

chae do cup undel kar 'mansur'
aaj bhi us ki rah dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close