fuzul shai hun mera ehtiram mat karna faqat dua mujhe dena salam mat karna kahin ruke to na phir tum ko rasta degi ye zindagi bhi safar hai qayam mat karna wo aashna nahin khwabon ki manawiyyat ka hamare khwab abhi us ke nam mat karna zaban munh mein hai tar-e-gunah ki surat tumhaara hukm baja hai kalam mat karna mera wajud ki hai dana-e-qanaat sa main ek faqir parinda hun dam mat karna ye baat sach hai yahan guftugu awam se hai magar adab ko guzargah-e-am mat karna 'faza' charagh-o-shafaq donon rahzanon ki mataa jo khair chaho to raste mein sham mat karna