kya koi dard dil ke muqabil nahin raha ya ek dil bhi dard ke qabil nahin raha un ke lahu ki dahr mein arzaniyan na puchh jin ka gawah daman-e-qatil nahin raha apni talash hai hamein aankhon ke shahr mein aaina jab se apne muqabil nahin raha sargarmi-e-hayat hai be-maqsad-e-hayat sab rah-naward-e-shauq hain mahmil nahin raha us ka khayal aata hai apne khayal se ab wo bhi apni yaad mein shamil nahin raha